Delhi EWS Result 2026-27

Delhi EWS Result 2026-27 Out: ड्रॉ में नाम आने के बाद क्या करें? (ज़रूरी डॉक्युमेंट्स और तारीखें)

Delhi EWS Result 2026-27

Delhi EWS/DG admission ka pehla computerized draw 6 April 2026 ko safalta purvak ho chuka hai. Agar iss draw me aapke bacche ka naam aa gaya hai, toh aapko bohot bohot badhai!

Lekin, naam aana sirf pehla kadam hai. Asli process ab shuru hota hai, Document Verification aur School Admission ka. Dhyan rahe, ek choti si galti ya document ki kami se aapke bacche ka admission cancel ho sakta hai. Isliye, niche di gayi Delhi Sarkar (DoE) ki official jankari ko dhyan se padhe aur apne bacche ka admission pakka kare.

🚨 UPDATE
खुशखबरी! EWS Admission 2026-27 का पहला ड्रा (First List) जारी कर दिया गया है। नीचे दिए गए बटन पर क्लिक करके अपने बच्चे का नाम चेक करें!

रिजल्ट चेक और SMS अपडेट (क्या आपको मैसेज मिला?)

  • Bacchon ke parents ko draw hone ke 24 ghante ke andar unke registered mobile number par ek SMS aayega.
  • Is SMS me aapke bacche ko kaunsa school mila hai aur “Document Verification Centre” ka pata (Address) kahan hai, yeh likha hoga.
  • Aap apna result DoE ki official website (www.edudel.nic.in) par ‘EWS/DG Result 2026-27’ link par Registration ID aur Date of Birth daal kar bhi check kar sakte hain.

वेरिफिकेशन सेंटर पर ले जाने वाले ज़रूरी दस्तावेज़

Sabse zaroori baat jo har parent ko yaad rakhni hai: Aapko verification centre par sabhi documents ki 2-2 photo copy (Self-attested) le jani hai. Saath hi, dikhane ke liye apne Original documents bhi sath zaroor rakhein.

Yahan un documents ki list hai jinki 2-2 copy aapko taiyar rakhni hai:

  • Online bhare gaye application form ka printout.
  • Bacche ki 2 passport size photo.
  • Bacche ke Aadhaar Card ki copy.
  • Mata-Pita (Parents) ke Aadhaar Card ki copy.
  • Janam Pramaan Patra (Date of Birth proof) ki copy.
  • Delhi ka Address Proof (Jaise Ration card, Domicile, Voter ID, ya Bijli/Paani ka bill) ki copy.
  • EWS/DG Category ka proof (Jaise ₹5 lakh se kam ka Income Certificate, ya BPL/AAY card) ki copy.

एडमिशन की सबसे ज़रूरी तारीखें (Crucial Deadlines)

  • Normal Document Verification: Verification ka kaam 09 April 2026 se shuru hokar 22 April 2026 tak chalega.
  • Aakhiri Mauka (Non-Reported Cases): Jo log tay samay par verification ke liye nahi pahunch paye, unhe 23 April 2026 se 28 April 2026 ke beech ek aakhiri mauka (final opportunity) diya jayega.
  • Admission ki Aakhiri Tarikh: Verification clear hone ke baad, school mein aakhiri admission lene ki last date 20 May 2026 tay ki gayi hai.
Join Our WhatsApp Group
Pink Saheli Smart Card application start hote hi sabse pehle update aapko WhatsApp par milega. Official news, updates & alerts — directly in your phone!
Join WhatsApp Group

माता-पिता के हक़ (Parents’ Rights)

  • No Fees: School aapse kisi bhi tarah ki Tuition Fee nahi maang sakta.
  • Free Uniform & Books: Admission hone ke ek hafte (1 week) ke andar school ko har bacche ko Free Books, School Uniform, aur likhne ka saaman (Writing Material) dena hoga.
  • No School Change: Dhyan rahe, draw mein jo school allot ho gaya hai, use kisi bhi paristhiti mein badla nahi ja sakta.
  • No Double Benefit: Agar bachhe ne pichle kisi saal mein entry level par EWS/DG admission ka fayda le liya hai, toh uska form aur admission dono cancel kar diye jayege.

अगर किसी दस्तावेज़ में कमी (Deficiency) हो तो क्या करें?

Agar verification ke time aapke kisi document mein koi kami nikal aati hai, toh ghabrane ki zaroorat nahi hai.

  • Sarkar aapko ek “Deficiency Memo” degi.
  • Aapko sahi aur updated document jama karne ke liye 02 May 2026 tak ka samay (time) diya jayega.
📍 Search Your Verification Centre (2026-27)

अपना District या Zone लिखकर अपना नज़दीकी सेंटर ढूंढें।

District & ZoneComplete Address of Verification CentreNodal Officer & Contact
East
Zone 1
SBV, Vivek Vihar (School ID-1001002)Sh. Ashok Kumar
📞 7834864684
East
Zone 2
SKV No.2, Shakarpur (School ID-1002193)Sh. M.N. Reddy
📞 8970707858
East
Zone 3
SKV Rani Garden (School ID-1003030)Ms. Poonam
📞 9868925451
NE-I
Zone 4
CM Sheri School, B-Block, Yamuna Vihar, Delhi-53Mr. Hari Raj Singh & Mr. Rajan Kumar
📞 8077208996 / 9990999133
NE-II
Zone 5
MBP BM SKV, GT Road, Shahdara, Delhi-110032 (School ID-1105110)Mrs. Rakhi Rani
📞 9013266474
NE-II
Zone 6
GBSSS, C-Block, Dilshad Garden (School ID-1106002)Dr. Prem Kishore Sharma
📞 9818494987
North
Zone 7
CM Sheri School, Raj Niwas Marg (School ID-1207108)Ms. Vineeta Joon
📞 9971033133
North
Zone 8
Office of the Dy. Director of Education Zone-8, District North, Lucknow Road (CM Sheri School Building, Lancer Road), Delhi-110054Mr. Rakesh Kumar Singh
📞 9873515658
NW-A
Zone 9
SBV, BT Block, Shalimar Bagh (School ID-1309005)Sh. Vikram Yadav
📞 9868282431
NW-A
Zone 10
GSKV, Prahladpur Banger, Delhi 110042Dr. Anjali Khatri
📞 9555639155
NW B-I
Zone 11
GBSSS, SU-Blk, Pitampura (School ID-1411017)Sh. Sunil Kumar
📞 9212164849
NW B-I
Zone 12
SKV, Q-Blk, Mangolpuri (Schoo ID-1412080)Ms. Seema Dahiya
📞 9990985454
NW B-II
Zone 13
Captain Sanjeev Dahiya Sarvodaya Vidyalaya Sec-9, Rohini (Schoo ID-1413010)Ms. Archana Yadav
📞 8448979008
West-A
Zone 14
SBV Chand Nagar, New Delhi-110018 (School ID-1514110)Sh. Pawan Kumar
📞 9818478702
West-A
Zone 15
Sarvodaya Vidyalaya, East Punjabi Bagh, New Delhi-110026 (School ID-1515004)Ms. Sunita Kumari
📞 9871088788
West-A
Zone 16
CM Shri School, Karampura, Industrial AreaMs. Ekpreet Kaur
📞 9868377286
West-B
Zone 17
MP Hall, GBSSS, G-Block, Vikaspuri (School ID-1618010)Ms. Shweta Kumar
📞 9711797680
West-B
Zone 18
MP Hall, GBSSS, G-Block, Vikaspuri (School ID-1618010)Mr. Rajpal
📞 9990029444
SW A
Zone 19
District South West-A, Directorate of Education C-4, Vasant Vihar, New Delhi-110057 Behind Tagore International School.Sh. Dharmendra Singh
📞 9800759664
SW A
Zone 20
Govt. Co-Ed Secondary School, C-4 Lane Vasant Vihar, New Delhi-110057 Behind Tagore International School (School ID-1720174)Ms. Meenakshi
📞 9650063017
SW B-I
Zone 21
Govt. Co-Ed Sr. Sec. School, Sector-2, DwarkaMr. Prem Dutta Sharma
📞 9871290545
SW B-II
Zone 22
MP Hall, SV COed, Najafgarh (1822002)Sh. Prem Dutta Sharma
📞 9899799516
South
Zone 23
School Hall, R.K. Puram, Sector-3 S(Co-Ed)V (School ID-1719103)Dr. Harita Arora
📞 9971491898
South
Zone 24
Block-C of School, R.K. Puram, Sec.-3-S(Co-Ed)V (School ID-1719103)Sh. Ravinder Kumar
📞 9871149324
South East
Zone 25
CM Sheri School, Andrews Ganj, School ID-1924033Ms. Sonia Sikka
📞 9811131052
Central
Zone 26
C.M Shri School, Pandara Road, New Delhi (School ID-2026004)Mr. Ramesh Chand (Link Officer)
📞 7011954149
Central
Zone 27
Deputy Director of Education, Zone 27 District Central Plot No.5 Ashoka Hills, Jhandewalan, Delhi 110005Sh. Akash Gupta
📞 8586812743
Central
Zone 28
Sarvodaya Bal Vidyalaya, (School ID-2128002) Plot No. 6 Jhandewalan, New Delhi-110005Sh. Ajay Kumar (Principal)
📞 9555543891
South East
Zone 29
Kalkaji, No.-2 S(Co-Ed)V School, School ID-1925038Mr. Mahesh Chand Meena
📞 9630188632

Aapka koi sawaal hai? Niche comments mein zaroor puchein. EWS ki Second List (dusra draw) aur aage ki saari updates sabse pehle paane ke liye is post ko apne relatives aur doston ke sath WhatsApp par turant share kare!

Other Schemes

10 Comments

  1. MERE BETE KA NAAM WITHDRALL ME NAHI AYA HE KESE PATA KAREIN
    KYUKI KOI MSG AYA NHI HE AUR SITE BUSY CHAL RAHI HE

  2. Sir mere bachhe ka name jis school me aya h bah sirf 5th class tk hai. 5th ke badh ki education humari jimedari h ya sarkar ki… please tell me answer

  3. Sir dg cetgorery me bhi income certificate hona jaruri h kya uski jagha par pita ka sc ka certificate chal sakta h kya

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *